Wednesday, 9 January 2013

Urdu Poetry

Teri Nigah bhi is Dour ki zakaat hui,
Jo Mustahiq hai usi par na pari….


Daaman churra ke aap ne jana hi tha agar,
Nazrain utha ke pyar se dekha tha kis liye..


Doobty doobty kashti ko saahil pe uchaal doon ga,
Mein nahi koi to saahil pe utar jaye ga..


Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay
Ham Tera Intezaar Kartay Rahay
TU Tou Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof
Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay
Kis Lye Vasl Ki Kahani Mein
Hijr Ko Hissaydaar Kartay Rahay
Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha
Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay.


Ek Shab-e-Mehtaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Ham Kiun Apnay Aap Se Bhaagtay Phirtay Hain
Pyaas Ki Shiddat Honton Ki Taqdeer Howi
Aur Ham Qatraa-e-Aab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Shaam Dhalay Saari Choupaalain Sajti Hain
Ham Apnay Ehbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Khushbuu Ki Tehreer Badan Per Likhi Hai
Aur Safaid Gulaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Ik Kitaab Lye Phirtay Hain Haathon Mein
Aur Zar-o-Asbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Unhain Kisi Taabeer Ki Khwaahish Kia Hogi ?
Loog Jo Arsaa-e-Khwaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Aankhon Mein Be-Taab Samandar Hai Phir Bhi
Jaanay Kis Gardaab Se Bhaagtay Phirtay Hain

Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay
Shaam Ke Waqt Safar Kia Kartay
Teri Masroofiatain Jaantay Hain
Apne Aanay Ki Khabar Kia Kartay
Jab Sitaaray Hee Nahi Mil Paaye
Le Ke Ham Shams-o-Qamar Kia Kartay
Wo Musaafir Hee Khuli Dhoop Ka Tha
Saaye Phaila Ke Shajar Kia Kartay
Khaak Hee Awwal-o-Aakhir Thehri
Kar Ke Zarray Ko Gohar Kia Kartay
Raaye Phele Se Bana Li TU Ne
Dil Mein Ab Ham Tere Ghar Kia Kartay
Ishq Ne Saaray Saleeqay Bakhshay
Husn Se Kasb-e-Hunar Kia Kartay..



Zakham Kia Kia Na Zindagi Se Milay
Khwaab Palkon Se Be-Rukhi Se Milay
Aap Ko Mil Gaye Hain Qismat Se
Ham Zamanay Mein Kab Kisi Ko Milay ?
Aisay Khushbu Se Mil Raha Hai Gulaab
Jis Tarah Raat, Roshni Se Milay
Ham Faqeeron Se Dosti Hai Magar
Os Se Kehna Ke Saadgi Se Milay
Dil Mein Rakhtay Hain Ehtyaat Se Ham
Zakham Jo Jo Bhee Jis Kisi Se Milay
Zindagi Se Galay Milay Tou Lagaa
Ajnabi Jaisay Ajnabi Se Milay
Os Ke Seenay Mein Dil Nahee Tha “Batool”
Ham Ne Socha Tha Aadmi Se Milay
Meri Chahat Tha Wo Meri Anaa Bhi Tha
Merey Khamosh Lehjon Ki Ek Sadaa Bhi Tha
Rehta Tha Subha-o-Shaam Wo Mere Wajood Mein
Meri Awaaz..Mera Lehja….Wo Meri Adaa Bhi Tha
Deta Tha Wo Mujh Ko Zakhm Behisaab Magar
Hamdard Bhe Tha Wo Mera..Wo Meri Wafa Bhi Tha
Ab Os Ke Zikar Pe Mein Aksar Baat Badal Deta Hoon
Kabhi Meri Mohabbat Ki Inteha Bhi tha
Ajab Kash Ma Kash Mein Thi Zindagi Meri
Poojna Usay Tha Aur Dil Mein Khuda Bhi Tha..




Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar “Sakht Tar ” Nikla
Para Hai Vaasta Jis Se Wohi “Teer-o-Tabar” Nikla
Sabaq Deta Raha Umr Bhar Jo Roshan Khayali Ka
Usay Bhi Jab Paas Se Dekha Tou “Tang Nazar” Nikla
Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahay Thay Hum
Usay Jab Chhuu Kar Dekha Tou Faqat “Khaaki Bashar” Nikla
Mohabbat Ka Khumaar Utraa Tou Saabit Howa “Mohsin”
Jisay Hum Umr Samajh Rhay Thay Faqat “Be Maqsad” Safar Nikla..



Chalo ik kaam kartey hain,
Zamaaney bhar mein nafrat ko,
Bohat badnaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,
Chalo chorro yeh taaj o takht,
Chalo ban jayen deewaney,
Aur iss deewangi ko hum,
Wafaa ke naam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,
Chalo paatey hain phir fursat,
Tassawur yaar ka kar ke,
Bithaa lete hain pehluu mein,
Seher se shaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,
Chalo yeh ehed kartey hain,
Kissi ka dil na torrain ge,
Aur ik doojey ki chahat mein,
Anaa bedaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,
Sabhi tootey khilonon ko,
Chalo phir jorr lete hain,
Neyi manzil ban kar khud,
Usey gumnaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,
Chalo yaadon ki barish mein,
Jagha dete hain maazi ko,
Haseen beetey huye pal,
Taveel ayaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,
Chalo kehtey hain akbar se,
Bhaley deewaar mein chun dey,
Mohabbat ke liye mitt kar,
Sadaa araam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain.....


Dhoond leti hai mujhko dhoondne wali nazar,
Apne saaye ko agarchey la’pata rakhta hoon mein....



Ik umar ke baad us ko dekha,
Aankhon mein sawaal they hazaaron,
Honton pe magar wohi tabasum,
Chehrey pe likhi huyi udaasi,
Lehjey mein magar balaa ka thehrao,
Awaaz main goonjti judai,
Baanhen thi magar wisaal-e-samaan,
Simtti huyi baazuyon mein,
Taa’der mein sochti rahi thi,
Kis abr-e-gurez paa ki tarah,
Main kis shajar se katt gayi thi,
Kis chaaon ko tark kar diya tha,
Main us ke galey lagi huyi thi,
Woh ponchh raha tha mere aansu,
Lekin barri dair ho chuki thi..



Waqt-e-rukhsat ajab manzar tha meri nigah main,
Wo bhi ro raha tha jisey ghum na tha judai ka..



Karam jab Aaall-e-Nabi ka shareek hota hai,
Bigar bigar ke har kaam theek hota hai..



Andherey ghamon ke seher dhoondtey hain,
Abhi tak khushi ka nagar dhoondtey hain,
Khabar hai khushi ik siraab nazar hai,
Nahin ab miley gi, magar dhoondtey hain,
Jahan barishon ne ujaarri hai basti,
Ussi sheher mein apna ghar dhoondtey hain,
Mittaa de jo barhti huyi talkhiyon ko,
Jahan bhi miley woh nazar dhoontey hain,
Laraztey huye meri palkon pe aansuu,
Duyaaon mein apni assar dhoondtey hain,
Mohabbat hai parwaaz se un ko Bushra,
Aseeri mein jo baal-o-par dhoontey hain.


No comments:

Post a Comment