Thursday, 10 January 2013

Manzil Shayari Unlimited....


Umeed to manzil pe pohnchnay ki bari thi
Taqdeer magar janay kaha soi parri thi
Khush thay k guzarein gey rafaqat mein saffr ab
Tanhaee magar baahon ko phir kholay khari thi

Wohi ahal e karwan hain wohi be hisi ka alam,
Na kisi ko manzil na gham e shikasta pani.



Najane kab ka pohanch bhi choka sar e manzil,
Wo shakhs jis ka humen intazar rah me hai.



Na zaat me koi manzil na kainat me hai,
Safar karon to kahan mera koi jada nahin.


Nerangi siasat e doran to daikhye,
Manzil unhain mili jo shareek e safar na the.


Muhabbat ki bus itni kahani,
Safar asaan hai manzil kari hai.


Manzil pe aa k shad e ajab hadsa hoa,
Me hum safar ko bhol gea hum safar muje.


Me akela hi chala tha janib manzil magar,
Log sath ate gae aur karwan banta gea.


Ghar se nikal khare hoe phir pochana hi kia,
Manzil kahan se pass pare gi kahan se door.


Ghar se nikal pare hain awargi utha kar,
Hum ko yahi bahot hai asbab is safar ka.


Qadmon k shoq e abala pai to mil gea,
Lakin ye zaraf wasat e sehra nahin mila.


Ajeeb manzil e dilkash adam ki manzil hai,
Musafaran e adam loot kar nahin ate.


Teh ho choka hai kitna safr khabar nahin,
Main ajnabi hon aur pur israr raste.


Teh kitni ho gaen hain isi dhon me manzalain,
Apne sabak kharam ko jhalain kis tarah.


Teh ho saka na manzal e janan ka marhala,
Me gamzan hon rah e muhabbat me aj bhi.



Sadae karb se mamor hai meri zameen abb tak,
Khala me is lie muj ko safar acha nahin lagta hai.

Shab e firaq meri ankh ko thakan se bacha,
K nend war na kar de teri sahili par.


Shoq e safar kahan hai kahan le gea humen,
Hum jis ko chor ae hain munzil wohi to thi.


Sub ko pohncha k un ki manzil par,
App raste me reh gea hon.


Zara sambhal k ae yaran e taiz gam chalo,
Bhatak gae sar e manzil bhi karwan aksar.


Jahan koi baichar jae wahen par us ki manzil hai,
Kisi k sath chalne se musafat kam nahin hoti.


Phool to phool hain kantoon me bhi khoshboo jage,
Tm kabhi apne khealat badal kar daikho.


Be faez maslahat aisa be hota haa zamane main,
Ke rehzan ko ameer e karwaan kehna hi parta ha.


Bus aik rat thehrna ha kia gila kijiye,
Musafaron ko ghanimat ha ye sarae bahot.


Ghar se hai Mandir badi door chalo yun kar len
Ek rote hue bachhe ko hansaya jaye

No comments:

Post a Comment